Kya Tumhein Main Kabhi Yaad Nahi Aaya
To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?
Kisi Ghulaab ki Khushboo k bikharne per b
Zara se Aab ke Aankhon mai utarne per b
Kitaab uthate hoye, Geet koi Gatey hoye
Sanwar k dair talak Aainey ko takte hoye!
To kya Tumhain Mai kabhi Yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay hoye, Shaam ko Tehlte hoye
Neend na aaye agar Karwatein badalte hoye
Kabhi yun hi kisi Makhsoos Dhun ko sunte hoye
Faarig Auqaat mai koi Kitaab parhte hoye!
To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?
Baraste Abr mai Chhat per kabhi Khare ho ker
Kisi ke Rooth ke Jaane per Chirchiray ho ker
Kisi Saheli se bus yun hi Baat karte hoye
Kisi Khayal mai Bethe se uth ke chalte hoye
Kisi bhi Raat ko uth ker yun hi Tehlte hoye!
To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?
Akele yun hi kabhi apni Dhun main chlate hoye
Kisi ki Saalgira per yun hi behlte hoye
Kisi unchayi pe Tanha sambhal ke charte hoye
Utarte Chaand ka Mojon mai Aks parte hoye!
To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?
Kisi Gulaab ko Tehni se Torr ker bhi nahi??
Kisi Darakht ke Saaye mai beth ker bhi nahi??
Apne Darwaze pe Dastak koi Sun ker bhi nahi??
Kisi Dareecha-e-Makaan se Khaank ker bhi nahi??
To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?
Apni Kitab mai koi Naam dekh ker bhi nahi??
Yaad-e-Maazi mai kahin Door Doob ker bhi nahi??
Kisi bhi Shakhs ko Khamosh dekh ker bhi nahi??
Kisi bhi Aankh ko Namm dekh ker bhi nahi??
Kahin Lafzon mai koi Aah dekh kar bhi nahi?
Azaan hoye hi Duaaon mai bhi nahi??
To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?