chalo yun hi sahi
uss shakhs ko bhool jatey hain
nahin, hum kuch nahin kehtey
hum apney khwab atish-dan main rakhney ko razi hain
tamana'on bharey daman ko uth ker jharr detay hain
wo jo ik shoq tha dil main useey anqa samjhtey hain
hum apney aap ko apney liye moquf kertey hain
tumhein hum kuch nahin kehtey
bus ik khwahish hay, so es ko bhi tum nazer-e-Mohabbat ki tarah jano
wohi khushboo jo apni jan hay, ab ajnabi tehrey
chalo yun hi sahi,
ik baat lakin zehan main rakhna
"kisi mosam k mathey per humarey hont ubhren gay
kisi roshan zamaney main humari bhi talab ho gi
kisi tareek jungle main humarey naam k jugnoo janam len gay
kisi lamhey ki ankhon main humarey ishq ka kajal laga ho ga
kisi bay saya basti main shajer hum say harrey hon gay"