Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein


Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hia,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

'Sagar' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...