Mujhe likhne ki kwahish hai


mujhe likhne ki kwahish hai
magar lkha nahen jata
mere alfaz dil ki aahanai dewar se sar phorte hain
aur inhen izhaar ka rasta nahen milta
meri ankhen jinhen dil mein chupe jazbat ko askhon ki boli mein
'bata dene pe qudrat thee
wo ab kuch bhi nahen kehten
! mere ye lab
jo dil ki an kahi baton ko kehne se nahen darte thai
wo lab kuch bhi nahen kehte
! meri ye ungliyan
jo dil mein chupe jazbat ko izhar ka rasta batati theen
wo an kuch bhi nahen likhten
meri ankhen, ye lab, meri ungliyan mujh se kehte hain
ke ab jazbat ko izhar ka rasta nahen dena
ke moo zoor hote hain
faqat rasta ke milne se
inhen manzil talak jane ki hajat hi nahen rehti
nayee raste pe jate hain
nahyee rahen banate hain
magar phir wapsii ke sab nishan bhool jate hain
inhen rasta nahen dena
! inhen tum dil mein rehne do
wagarna khoon rulayen ge
inhen rasta nahen dena
!inhen tum dil mein rehne do
mujhe likhne ki khwahish hai -