Muqaddar Chhod De Jisko ZaMana Chhod Deta Hai


Muqaddar Chhod De Jisko ZaMana Chhod Deta Hai,
Khiza Mein Har Parinda Aashiyaan Chhod Deta Hai,

SaMajh Lein Lag Rahi Hia Aapki Buniyaad Mein DeeMak,
Padosi Jab Kabhi Nazrein Milana Chhod Deta Hai,

ZaMane Bhar Ki Taqreerein Asar Mujhpar Nahi Karti,
Magar Ek Lafz Tera Ek Fasana Chhod Deta Hia,

Wo ZaliM Bewafa Harjayi Hia Magar Phir Bhi,
Nazar Milte Hi Ek Manzar Suhana Chhod Deta Hai,

Hazaron Koshishein Karke Use HuM Bhool Paaye Hia,
Roz Khidki Mein Koi Khat Purana Chhod Deta Hai,

ZaMane Bhar Ki Talwarein Jhuki Aati Hia KadMon Pe,
Koi Bankar Ke Jab GautaM Gharana Chhod Deta Hai...