Parveen Shakir Poetry

Chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki