Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai



Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai
Zindagi k rastey main bichney waley kanton ko
Rah sey hataney main
Aik aik tinkey sey ashiaaaan bananey main
Khushboain pakerney main
Gulistan sajaney main
Umer kat detain hain
Or apney hisey k phool bant detain hain
Kaisi kaisi khwaishon ko qatal kertey jatey hain
Derguzer k gulshan main aber ban k rehtein hain
Saber k samunder main kashtian chalatey hain


Yeh nahin k in ko roz-o-shab ki kawish ka
Kuch sila nahin milta
Merney wali ahon ka khoon baha nahin milta
Zindagi k daman main jis qadar bhi khushian hain
Sab hi hath atin hai
Sab hi mil bhi jati hain
Waqt per nahin miltin
Waqt per nahin atin
Yani un ko mehnat ka ajer mil to jata hai
Lakin is tarah jaisey
Qerz ki koi reqm qist qist ho jaey
Asal jo ibarat ho pass-e-nawisht ho jaey
Fasl-e-gul k akhir main phool un k khiltey hain
Jin k sehn main soorej dair sey nikaltey hain