Farhat shehzad ki shayyiri


Ek bas tu hi nahin mujhse khaffa ho baitha
maine jo sang taraasha vo khuda ho baitha
uth ke manzil hi agar aaye toh shayad kuch toh
shauq-e-manzil mein mera ablaapan[छाले]ho baitha
maslehat chiin gayi quvvat-e-guftaar[strength of talk] magar
kuch na kehna hi mera meri sada ho baitha
sukriya ae mere qaatil ae masihaa mere
zehar jo tune diya tha vo dawa ho baitha
jaan-e-'shehzad' ko min_jumlaa-e-adaa[half hearted welcome] pa kar
huuk vo thi ki jii tan se juda ho baitha