Showing posts with label Badan. Show all posts
Showing posts with label Badan. Show all posts

Bohat thakaan badan mein mere safar ki rehi

Image

*~~~~~***~~~***~~~~~*

Bohat thakaan badan mein mere safar ki rehi
Magar shook ki manzil k har nagar mein rehi

Woh jis pe chal kay sadah paoon zakhm zakhm huwe
Na jane khooj humahin kiun ess he dagar ki rehi

Khuda Ney fitrat e aazadi woh baanai hai
L jis mein ruh shaheed e bey khatar ki rehi

Jo meri zaat ki pinhaiyaaN samjh leiti
Tammam umar zarorat ous ek nazar ki rehi

Jab Apne app mein duobey falak ko chuoh aaye
K eihtiyaat humain ab baal o par ki rehi

Humain say sunnatain ab bhi zindaa hai
K har zamaney ko hajat humhare sar ki rehi

Billa sababb Toh karamat pe apni Naaz nehi
K chaar daang mein shohrat mere aasar ki rehi

*~~~~~***~~~***~~~~~*

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN




badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

(zavaal : nadir; tulu : appearing)

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

(jaamaa-zeb : ?; pairahan-e-jaaN : clothes of the soul)

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

(Ghubaar-e-rahguzar : dust of the path; havaa-e-taazaa : fresh breeze)

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Irfan Siddiqui