Urdu Romantic Poetry, Urdu Poetry, Urdu Poem

KYA LIKHUN MAI AAJ YAAD ME TERI,
KYA MAANGU MAI AAJ FARYAAD ME MERI.


CHAHTA TO BAHUT KUCH HUN KHUDA SE MERE,
LEKIN KASHMA KASH ME HAI ZINDAGI YE MERI.


JAB DEKHA PEHLI BAAR TUJHE TO DIL SE YE FARYAAD NIKLI,
PAAUNGA TO SIRF TUJHE WARNA AE KHUDA YE MERI JAAN HAI TERI.


YAARON NE KAHA YE KYA KIYA TUNE SAATH ME MAANGI MAUT APNI,
MAINE KAHA MERE SAATH TO KHUDA HAI WO ZAROOR BANEGE MERI.


LEKIN DHEERE DHEERE WO MUJH SE DOOR HONE LAGI,
MAINE SAMJHA HOGI USKI BHI KOI MAJBOORI.


IDHAR MAI BE KHABAR USKE INTZAAR ME BAITHA,
MAJBURI ME WO TADAP RAHI THI JUDAI ME MERI.


LEKIN WO THI BEKHABAR MERI US FARYAAD SE,
JAB HUI KHABAR TO RONE LAGI YAAD ME MERI.


AE KHUDA TARAS KHAA HUM DONO KE HAALAAT PAR,
KAR WO JO TUJHE HO MANZOOR,


BAS YEHI DUA HAI TUJH SE MERI…………!

Funny Hindi SMS

Bhakt - Bhagwan! Mujhe dard De, dukh de, mujhe barbad kar de, mere piche har muskil laga de.

Bhagwan - Abe!!! paheli kyon bhuja raha hai sale, ek line main bol na Girl Friend chaiye!

Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari

Koi hath nahi khali hai
Ye nagri kaisi hai
koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai
Uska bhi kuch haq hai aakhir
Usne mujhse nafrat ki hai
Phool dawa jaise mahke hai
kisi bimar ki subah hui hai
Jaise sadiyan beet chuki ho
Phir bhi aadhi raat abhi hai
Kaise kategi tanha tanha
Itni sari umer padi hai
Hum dono ki khub nibhegi
Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai

Urdu SMS - Urdu Funny SMS - Funny Hindi SMS - Girl Friend SMS

Bhakt - Bhagwan! Mujhe dard De, dukh de, mujhe barbad kar de, mere piche har muskil laga de.

Bhagwan - Abe!!! paheli kyon bhuja raha hai sale, ek line main bol na Girl Friend chaiye!


Urdu Shayari - Love Urdu Sher - Urdu Ghazal - Farq Sirf Itna Sa Tha

Farq sirf itna sa tha, US ki doli uthi meri maiyat uthi,
phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,
mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,
Un ka hansna wahan, in ka rona yahan,
sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,
Do qul US k perhey, do qul mere perhey,
Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,
WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,
WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,
Farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya….

Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal



jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena
ho sake to aisa bhi karna
bahut dinon tak ilzaam na dena

thoda pyaar bhi yaad rakhna
thodi muskaane bhi
aye mere haseen dost
mujhko sirf ilzaam na dena

teri yaad pal pal sataayegi
phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

kaash kuch din aur hote kismat mein
kaash main adna insaan na hota
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

tera dard ab na baat paoonga
teri kismat phir kahan sanwaar paoonga
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena
ho sake to mere liye
apne aansoo khud ponch lena
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

Chal chal mere sang sang With lyrics



Lyrics

Chal chal mere sang sang - 4
Mere dil ki dhadkan mein tu lamha lamha harpal
Chal chal mere sang sang
Hai tere bin sab kuch tanha tanha harpal
Chal chal
Meri jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal
Chal chal mere sang sang
Ah, ah ah

--CHORUS--
Chal chal, sang sang - 2

--MALE--
Ek tamanna dil mein hai
Dekhoon main tujhe jee bharke
Sapnon mein tere kho jaaoon
Ankhiyaan main bandh karke
Saat suron ka jhoola jhoole
Sang sang nis din har pal se pal
Meri jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal
Chal chal mere sang sang - 2
Mahek uthe hai phool churaakar
Rang tere gaalon ka
Kaali ghata ne jaam piya hai
Tere do adhiron ka
Ae meri haseen ghazal
Maheka maheka tera aanchal
Meri jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal
Chal chal mere sang sang - 2
Meri jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal, jaan-e-ghazal
Ah, ah, ah

Blue movie Song Chiggy Wiggy with Lyrics



Feel The Life Feel The Lyrics

Chiggy Wiggy Lyrics
As every man who ever sees me wants to hold my hand
And be the one who gets me to say Oh I Do
They swear eternal undying devotion, yes they swear
That they will love me forever, love me true

But i don’t need a shining star
And i don’t wanna be rescued
No neither frog nor charming prince
Nor my summers barbequed

[I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you fella
Just chiggy-wiggy with you baby ]2

Free-eeeee your mind
Free is the way to live it up
Free-eeeee to go
Free if i dont wanna give it up
Free-eeeee to groove
The dance floor’s where i wanna be
Free-eeeee to move
White picket fences frighten me

[I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you fella
Just chiggy-wiggy with you baby ]2

Aaa… dont want a talker
Aaaa… dont need repartee
Aaaa.. dont need a future
I just like to… party

Aaa… forget tomorrow
Aaa… my feet tapping
Aaa.. dont you get it
Why won’t you let it happen

Say you’ll never go
Never ever go
Down upon on your knees
Say you’ll never say
Never ever say
Baby marry me pleeeaasseee

I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you ah ah aaa
Just chiggy-wiggy with you baby

Heeyyyy…
Goreee….
Babyyy…

Yehh….
Khatoon ki khidmat mein khiladi ki hai khwaish
Qaatil yeh adaayein qaatilana yeh numayish
Kar le chiggy wiggy mere sang soniye
Kar chiggy wiggy mere sang jaaniye
Kar chiggy wiggy sang sang heeriye
Chiggy wiggy Chiggy wiggy
Chiggy wiggy chigi chig
Oyiieee…

Chiggy wiggy mere sang soniye
Kar chiggy wiggy mere sang jaaniye
Kar chiggy wiggy sang sang heeriye
Chiggy wiggy Chiggy wiggy
Chiggy wiggy chigi chig

I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you boy

Tera husn hai rehmat ya ghazab
Tere ishq ibaadat ya khata

I wanna chiggy-wiggy with you fella
I wanna chiggy-wiggy with you

Tera husn hai rehmat ya ghazab
Tere ishq ibaadat ya khata
Tu kahe to tere sang sang zindagi
Ya guzaroon aaj ki raat raat

Tu kahe toh din
Tu keh de to shaam
Tu jo kahe woh sach
Jo tu kahe wohi mera naam naam

Kar chiggy wiggy mere sang soniye
Kar chiggy wiggy mere sang jaaniye
Kar chiggy wiggy sang sang heeriye
Chiggy wiggy Chiggy wiggy
Chiggy wiggy chigi chig

I wanna chiggy-wiggy with you boy
I wanna chiggy-wiggy with you boy

Ho ho.. Chiggy wiggy ho thoda chiggy wiggy
Oh sun haal dil ka
Oh aaja chiggy wiggy oh kar chiggy wiggy
Oh kyun soche kal ka

(I wanna chiggy wiggy with)
Oh aaja chiggy wiggy
(I wanna chiggy wiggy with)
Oh thoda chiggy wiggy sun haal dil ka
Oh aaja chiggy wiggy
Oh come on chiggy wiggy
Oh kyun soche kal ki baat baat

Haal-E-Dil/Jaan Ve’ from the movie Haal-E-Dil



Here are the lyrics of ‘Haal-E-Dil/Jaan Ve‘ from Haal-E-Dil, the different lines of second version are enclosed in brackets. Enjoy:

(ho.. murr takk le… aaja rakh le…
mann ve…
haye… kuch keh de… kuch sun le…
jaan ve…)

jaan ve…

jaan le…

haal-e-dil…

jaan ve… jaan le…
haal-e-dil…
jaan ve… bol de…
haal-e-dil…

aaja tere seene mein,
saans saans pighloon main…

aaja tere hothon se,
baat baat nikloon main…

tu meri aag se… raushni chaant le…
ye zameen… aasmaan… jo bhi hai, baant le…

jaan ve… jaan le…
haal-e-dil…

jaan ve… bol de…
haal-e-dil…

aaja… aaja mahiya, aaja…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…

aaja mahiya, aaja…
aaja mahiya, aaja…

bebasiyaan aaja… aaja mahiya, aaja…

jin jogi raataan… supp dassiyaan aaja…

teri jholiyaan paaun… ghar galiyaan aaja…

aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…

aaja tere maathe pe, chand banke utroon main…
aaja teri aankhon se, khaab khaab guzroon main…

(aaja tere kohre mein, dhoop banke kho jaaun…
tere bhes, tere.. hi roop jaisi ho jaaun…)

rug rug pe hain tere saayein ve,
rug rug pe hain tere saayein…
rang tera chadh chadh aaye ve…
rang tera chadh chadh aaye…

jaan ve…/ jaan ve…
jaan le…/ jaan le…
haal-e-dil../ haal-e-dil

aaja tujhe haathon pe, kismaton sa likh loon main…
aaja tere kaandhe pe, umr bhar ko tikk lun main…

(tu hi meri neendon mein jaagta hai, sota hai…/jaan ve…
tu hi mere aankhon ke, paaniyon mein hota hai…)

teri akhhiyon ke do gehne ve…
teri akhhiyon ke do gehne….
phirte hain pehne pehne ve…
phirte hain pehne.. pehne…

jaan ve… jaan le…
haal-e-dil…
jaan ve… bol de…
haal-e-dil…

aaja tere seene mein,
saans saans pighloon main…

aaja tere hothon se,
baat baat nikloon main…

tu meri aag se… raushni chaant le…
ye zameen… aasmaan… jo bhi hain, baant le…

jaan ve… jaan le…
haal-e-dil…

jaan ve… bol de…
haal-e-dil…

aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…/ jaan ve…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…/jaan le…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…/jaan ve…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…/jaan le…
aaja mahiya, aaja… aaja mahiya, aaja…/haa-l-e-dil
haal-e-dil… jaan le… haal-e-dil
haal-e-dil…
haal-e-dil….
haal-e-dil..
haal-e-dil…
haal-e-dil..
haal-e-dil….

Urdu ghazal - Urdu Shayaril - Urdu Shayari



Aastino mein naag paale hai,
Loog bemaut marne waale hai,

Raunke jisme sar ba sajda thi,
Us haveli me aaj jaale hai,

Haddiyan choos lenge dunya ki,
Wo zamane ne kutte paale hai,

zakhm bakhshe hai usko phoolo ne,
Jisne pathar nichod dale hai,

Har parinde ki rooh larza hai,
Aise fande soonahre dale hai,

Sheesh mahloon ki aaj khair nahi,
Waqt ne sang wo uchale hai,

Sach ko jhutla diya tha jisne ,
Aaj uski jubaa me chhale hai,

Unko koi samagh nahi sakta,
Unke andaaz hi nirale hai,

Jo bhi katil hamare hai 'shoeb',
Phool se chehre bhole bhale hai.

Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari

Koi hath nahi khali hai
Ye nagri kaisi hai
koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai
Uska bhi kuch haq hai aakhir
Usne mujhse nafrat ki hai
Phool dawa jaise mahke hai
kisi bimar ki subah hui hai
Jaise sadiyan beet chuki ho
Phir bhi aadhi raat abhi hai
Kaise kategi tanha tanha
Itni sari umer padi hai
Hum dono ki khub nibhegi
Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai

Bewafa Sangdil….

Hindi Shayari

Tera kisi pe aye dil
Tera koy dukhaye dil
Tue bhi kaleja thaam kar
Muj se kahe k haye dil

Tera bhi dil KHUDA kare
Mere liye ho bekaraar
Tue bhi tarap tarap uthe
Asi chale hawaye dil

Neend na aye raat bhar
Bhatke idar udhar nazar
Chain ki ho duaa magar
Chain kaheen na paye dil

Tere bhi dil main dard ho
Tera bhi chaira zard ho
Meri tara na mil sake
Tuj ko kaheen dawaye dil.

Mujhe zindagi ki dua na do

mujhe-zindagi-ki-dua-na-day URDU SHAYARI  designed by creative sign

“Mujhe zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin
koi zindagio per karey yaqeen
mujhey zindagi pe yaqeen nahin
yeh safar bhi kaisa safar hua
mein kabhi kahin tou kabhi kahin
mujhey jis sanam ki talash thi
woh mila magar meraa nahin
mein woh raat hoon jo katti nahin
mein woh baat hoon jo bani nahin
mujhey zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin”

Begana

Kisi ne hume aashiq kaha,

Kisi ne hume diwana kaha….

In aankhon me aansu tab aaye,

Jab apno ne hume begana kaha….

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaayeâ.

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

Phool hun Gulaab kaâ?
Chameli ka mat samjhnaâ?
Aashiq hun aapkaâ?
Apni Saheli ka mat samjhnaâ

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye, Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karteâ

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..

tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham

Ghazal Wallpapers

Justooju Hai Auski Jo

Justooju Hai Auski Jo
Milnay Ko Milti Nahee Hai
Mohabbat Hai Ausko Mujhsay Magar
Izhar Karti Nahee Hai

Mangee Tih Aik Mulaqaat
Chandni Raat Us Pay Baadloon Ke Baraat
Setam Yeah Kai Fursat Ke Gharee
Ub Milti Nahee Hai

Gham-E-Zindage Her Din
Naey Naey Atay Hain Tarpatay Hai
Sohani YAADEIN Uski Lagzhishay Dil Pay
Mit Pati Nahe Hai

Urdu Shayari Cards

http://www.ghazlain.com/images/thumbnailitems/Cards/card11.jpg

http://www.ghazlain.com/images/thumbnailitems/Cards/card10.jpg

http://www.ghazlain.com/images/thumbnailitems/Cards/card12.jpg

http://www.ghazlain.com/images/thumbnailitems/Cards/card14.jpg

http://www.ghazlain.com/images/thumbnailitems/Cards/card13.jpg

Hoon Ajeeb KashMaKash Mai



Hoon ajeeb kashmakash may
hui Zindagi parai,
Meray pas teri yadain,
teray pas Bewafai,

Meray dil ko tu nay cheena,
Meri preeth jag nay luti,
Mera dil b hai paraya,
Meri preeth b parai,



Tujhay khwab he may dekho,
Ye Bharam b aj toota,
Teray khwab kesay dekho,
Mujhay need he na ai.

Parveen shakir Poetry


Urdu cards


terii baateN hii sunaane aaye




This Ghazal by Ahmed Faraz is one of my favourites and Ghulam Ali has given it the respect it deserves. Noor Jehan has also sung it beautifully and her version has been posted on the Radio as well.

Terii baateN hii sunaane aaye
dost bhii dil hii dukhaane aaye

phuul khilte haiN to ham sochte haiN
tere aane ke zamaane aaye

(zamaane : seasons)

aisii kuchh chup sii lagii hai jaise
ham tujhe haal sunaane aaye

(chup : silence)

ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gham
kaun ye bojh uThaane aaye

(sar-e-manzil : near the destination; Gham : pain)

ajanbii dost hameN dekh ke ham
kuchh tujhe yaad dilaane aaye

dil DhaRaktaa hai safar ke hangaam
kaash phir ko’ii bulaane aaye

(hangaam : time)

ab to rone se bhii dil dukhtaa hai
shaayad ab hosh Thikaane aaye

kyaa kahiiN phir ko’ii bastii ujRii
log kyuuN jashn manaane aaye

so raho maut ke pahluu meN “Faraz”
niiNd kis vaqt na jaane aaye

Ahmed Faraz

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN




badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

(zavaal : nadir; tulu : appearing)

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

(jaamaa-zeb : ?; pairahan-e-jaaN : clothes of the soul)

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

(Ghubaar-e-rahguzar : dust of the path; havaa-e-taazaa : fresh breeze)

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Irfan Siddiqui

Jaun Elia Poetry




kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa

(visaal : meeting)

kab dil ko javaab se Gharz thii
hoNToN ko savaal chaahiye thaa

shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa

(nafas : moment; maah-o-saal : months and years)

ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa

(be-misl-o-misaal : incomparable)

ek qarb meN zaat-o-zindagii haiN
mumkin ko muhaal chaahiye thaa

Jaun Elia

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN




ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

(hunar : skill)

kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

(zabt : control)

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

(darpesh : to confront)

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

(naaz-o-adaa : playfulness; Ghamze : amorous glances; sar-ba-sar : from top to bottom)

ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN

(kuu–e–jaanaaN : house of the beloved)

Ghazal by Jaun Elia