
aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye
bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye
har rag-e-khun main phir charagan ho
samne phir wo benaqab aye
umr k har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa k bab aye
kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
aj tum yad behisab aye
na gai tere gam ki sardari
dil main yun roz inqalab aye
jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam
jab bhi ham khanamankharab aye
is tarah apni khamashi gunji
goya har simt se jawab aye
'Faiz' thi rah sar basar manzil
ham jahan pahunche kamayab aye