Ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi


ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi
galion galion mujh se milne aye bhi ghabraye bhi

raat gaye ghar jane wali gum sum ladki rahon mein
apni uljhi zulfon ko suljhaye bhi ghabraye bhi

kon bichad kar phir lotey ga kiun awara phirte ho
raton ko ik chand mujhey samjhaye bhi ghabraye bhi

ane wali rut ka kitna khof hai us ki ankhon mein
jane wala door se hath hilaye bhi ghabraye bhi

kiya jane woh kon hai mohsin jis ki khatir raton ko
tez hawa pani par naqsh banae bhi ghabraye bhi