Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo


Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo
Bhaley chheen lo mujhsey meri jawani
Mager mujhko lota do bachpan ka sawan
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
Muhalley ki sab sey purani nishani
Wo bhuriya jisey bachey kehtey they nani
Wo nani ki baton mein parion ka dera
Wo chehrey ki jhurion mein sadion ka pehra
Bhulaye nahi bhool sakta hey koi
Wo Chhoti si ratein wo lambi kahani
Kari dhoop mein apney ghar sey nikalna
Wo chiriya wo bulbul wo titli pakarna
Wo guriya ki shadi pey larna jhagarna
Wo jhuloon sey girna or gir ker sanbhalna
Wo peetal key chhalon key piyarey sey tuhfey
Wo tooti huee choorion ki nishani
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani