aaNsuoN ka hisaab rakhta hai
dil meiN kitne azaab rakhta hai.
jane kiski hai qabr wo jis par
roz taazaa gulaab rakhta hai.
jaag kar kat_ta hai shab aksar
phir bhi palkoN pe khwaab rakhta hai.
uljhaneN haiN sabhi ke seene meiN
kaun ab inqlaab rakhta hai.
wo jo aaye to noor-sa bikhre
aaNkh meiN aaftaab rakhta hai.
aaiina bhi bahut pareeshaN hai
rukh pe hardam naqaab rakhta hai.
yaad kii dhoop jab sataati hai
sar pe meri kitaab rakhta hai.
wo jo chahe to kya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.
gungunata hai chhip ke meri ghazal
shauq to lajawaab rakhta hai.
shekhji us se door hi rehna
wo purani sharaab rakhta hai.