Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN


Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaayega
Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo
Aaj waqt bhi thahar jaayega

ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa
Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa
Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz
Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega

Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai

Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main
Ai faza'oN tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main

Raat roti hai bichad kar tum se


raat roti hai bichad kar tum se
chand gum sum hai hawa band fizaon ki tarah
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jate hain
jab kabhi band darichon ki taraf dekta hoon
hook uth-ti hai mere seenay ki gehrayi se
barishein bichrhay hoye logo ki
kis kadar dost howa karti hain'
barf kar deti hain jaltay hoowe angaron ko
aur kabi barf ko aatish mien badal deti hain

meri veerani
meri be-chaini
teri jaan soz judai ki alam-naki mein
iss tarah uljey hoowe hain ke sulajtey he nahi
jis tarah kaanton bari shakh mein aanchal koi
thoda kichta hai to kuch aur ulaj jata hai
din bilakta hai tere hijr ke soonay pan mien
shaam ghabra ke sisak uthti hai
RAAT ROTI HAI BICHAR KAR TUM SE
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jatey hain