In this blog you can find Romantic Poetry,Ghazals,Poet's Biography,Poetry of most Beautiful Poets like Ahmad Fraz,Perveen Shakir,Mir Taqi Mir,Mir Anees,Mohsin Naqvi etc,and tribute to Poet's and many many more.
~*Barre Be Murawat Hain*~
Lyrics for Life - FeeL ThE LyricS
Barre Be Murawat Hain Ye Husn Waale Kahin Dil Lagaane Ki Koshish Na Karna
Hansi Aati Hai Apni Barbaadion Per, Kahin Pyaar De De Kiye Bandaa Parwar
Mere Dil Ke Zakhmon Ko Neend Aaa Gayi Hai, Inhain Tum Jagaane Ki Koshish Na Karna
Mohabbat To Hai Ik Kaaghaz Ki Naaao, Udher Behti Hai Jis Taraf Ho BaHaaao
Nazar Ke Bhanwar Main Na Tum Doob Jaao, Nigaahain Milaane Ki Koshish Na Karna
Barre Be Murawat Hain Ye Husn Waale Kahin Dil Lagaane Ki Koshish Na Karna
Sitam Gar Se Jo Sitam Ki Shikaayat, Na Hum Kar Sake Hain Na Hum Kar Sakain Ge
Mere Aansuon Tum Mera Saath Denaaa, Unhain Kuch Bataane Ki Koshish Na Karna
Shamma Ban Ke Mehfil Main Hum Jal Rahe Hain Magar Dil Ki Haalat Hai Parwaana Jaisi
Khudaa Ki Kasam Jaan De Dain Ge Tum Per, Humain Aazmaanain Ki Koshish Na Karna
Barre Be Murawat Hain Ye Husn Waale Kahin Dil Lagaane Ki Koshish Na Karna
Mohabbat Ki Oonchi Adaaon Pe Saaghir, Jawaani Lutaane Ki Koshish Na Karna
*This is one of my favourites! I know it's not complete!
It would be very much appreciated if someone could tell me the comments about it so Email me at
Ek HuSan ki Devi se
ik husan ki devi sey mujhey piyaar huwa
dil us ki muhabbat mein griftaar huwa tha
wuh roop keh jis roop sey kaliyaan bhi khil jain
wuh zulf keh jis zulf sey sharmain ghataain
mey khaney nigahon key adaon key taraaney
dey daley mujhey us ney muhabbat key khazaney
haan aisi hi ik raat thi aisa hi samaan tha
yeh chand bhi poora tha zamna bhi jawan tha
ik pair key saye mein jab ikraar huwa tha
kashmir ki wadi key pur kaif nazarey
lamhaat Muhabbat key jahan ham ney guzarey
angraiyaan ley kar meri bahon key saharey
gulnaar nazar ati thi wuh sharam key marey
yak tarfa nah they husn_o_muhabbat key isharey
us ney bhi kai baar merey baal sanwarey
ehsaas ka jazbaat ka izhaar huwa tha
kuch roz katey yoon hi bura wakt jab aya
us husan ki devi ney bhi nazron sey giraya
ghurbat ney mujhey zamaney ki nigahon sey giraya
Ancchal merey hathon sey Muhabbat ney churaya
ik raat ko us ney mujhey soota huwa chora
chal di wuh kaheen piyaar ko roota huwa chora
khoya huwa main neend sey jaga jo swerey
wuh jab nah mili cha gaye ankhoon mein andheerey
TAQDEER KISSI KO BHI BUREY DIN NAH DIKHAYE
HOTEY HAIN BUREY WAKT MEIN APNEY BHI PARAYE
KIA PIYAAR KI DOULAT KA TALAB GARA HUWA THA
IK HUSAN KI DEVI SEY MUJHEY PIYAAR HUWA THA
Wo ishq jo hum se rooth gaya
wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya
koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr sunaaein kya
ik hijr jo hum ko laahaq he, ta dayr usay dohraaein kya
wo zehr to dil mein utaar liya, phir uss ke naaz uthaaein kya
ik aag ghame-e-tanhaai ki, jo saare badan mein phel gai
jub jism hi saara jalta ho, phir daaman-e-dil ko bachaaein kya
hum naghma-saraa kuch ghazlon ke, hum soorat-gar kuch khaabon ke
be-jazba-e-shauq sunaaein kya, koi khaab na ho to bataaein kya
koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr sunaaein kya
wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya
Kiun Pheelta gaya Kajal..
khari sooch rahi hoon
mera tu uss se..
koi ta'aluq na tha
phir kiun usske
jane ke baad....
meri aankhoon mein
pheelta gaya kajal.
Jab se tu ne mujhe deewana ~ Abida Parveen
aadab dostoN ek ghazal hakeem nasir sahab ki kahi padhi to bahut hee pasand aayi , to aap ke saath share kar raha hoon ,ummid karta hoon aap ko bhi pasand aayegi.
Lyrics for Life - FeeL ThE LyricS
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai
sang* har shakhs ne haathon pr utha rakha hai
jab se tu ne---
us ke dil par bhi kadi ishq main guzree hogee
naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai
jab se tu ne----
pathharon aaj mere sar par baraste kyon ho
main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai
jab se tu ne----
ab merii deed ki duniyaa bhi tamaashayi hai
tune kyaa mujh ko mahobbat men bana rakha hai
jab se tune--------
pee ja ayyam* ki talkhi* ko bhi hans kar naasir
ghum ko sahne mein bhi qudrat ne maza rakha hai
jab se tu ne ----
sang*=pathhar
ayaam*=din
talkhi*=kadvaahat
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara ha
Lyrics for Life - FeeL ThE LyricS
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara Ha
Bich Pawar Kashti(2)
Par Door Kinara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tumhara Ha
Pochey Ye Lahar, Kyu Ha Ye Doori
Ishq Me Akhir Kyu Ha Majboori
Pochey Ye Lahar, Kyu Ha Ye Doori
Ishq Me Akhir Kyu Ha Majboori
Mere Nahi To Kya
Mere Nahi To Kya
Mera Har Pal Tumhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tmhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tmhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tmhara Ha
Ujra Mera Naseeb Haat Mere Khali, Tu Salamat Rahe Allah Ha Wali.
Ujra Mera Naseeb Haat Mere Khali, Tu Salamat Rahe Allah Ha Wali.
Dil Pe Kya Guzre(2) Wo Shaks Jo Haara Ha.
Bheegi Palkon Par Naam Tmhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tmhara Ha
Bheegi Palkon Par Naam Tmhara Ha
~~ Woh kagaz ki kashti
Evergreen ghazal. Falling in memories the description of the characters of the past and simply like a imagination which is created in your mind with feeling that you are dreaming. The lyrics are very special again:
Yeh Daulat Bhi Lay Lo Yeh Shohrat Bhi Lay Lo
Bhalay Cheen Lo Mujhse Meri Jawani
Magar Mujh Ko Lauta Do Bachpan Ka Sawan
Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Paani???
Guzarish
Music Director – A R Rahman
Song – ‘Guzarish’
Singer - Javed Ali
Guest Vocals - Sonu Nigam
Lyrics – Prasoon Joshi
Tu meri adhuri pyaas pyaas
tu aa gayee mann ko raas raas
ab to…
tu meri adhuri pyaas pyaas
tu aa gayee mann ko raas raas
ab to tu aa ja paas paas
hai guzarish
hai haal to dil ka
tang tang
tu rang ja mere
rang rang
bas chalna mere
sang sang
hai guzarish
kehe de tu haan to zindagi
jharno si chhoot ke hansegi
moti hongi moti rahon mein
yai… yai… yai
tu meri adhuri pyaas pyaas
tu aa gayee mann ko raas raas
ab to tu aa ja paas paas
hai guzarish
sheeshe ke khwaab leke
raaton mein chal raha hoon
takraa na jaoon kahin
aasha ki lau hai roshan
phir bhi toofa ka dar hai
lau bhujh na jaaye kahin
bas ek haan ki guzarish
phir hogi khushiyon ki baarish
tu meri adhuri pyaas pyaas
tu aa gayee mann ko raas raas
ab to tu aa ja paas paas
hai guzarish
hmmm…….hmmm…..hmmm
hmmm…hmmm…hmmm
ooo…ooo…
chanda hai aasman hai
aur baadal bhi ghaney hain
yeh chanda chhup jaaye na
tanhayee das rahi hai
aur dhadhkan badh rahi hai
ek pal bhi chaein aaye na
kaisi ajab daastan hai
bechainiyaan bas yahan hain
tu meri adhuri pyaas pyaas
tu aa gayee mann ko raas raas
ab to tu aa ja paas paas
hai guzarish
hai haal to dil ka
tang tang tu rang ja mere
rang rang bas chalna mere
sang sang hai guzarish
keh de tu haan to zindagi
jharno si chhoot ke hansegi
moti honge moti rahon mein
yai…yai…yai…
tu meri adhuri pyaas hai
hmmm…hmmm…hmmm…
hmmm…hmmm…hmmm…
O’ho…O’ho…
O’ho…O’ho…
Tumse Hi. .
Movie – Jab We Met
Music – Pritam
Singer – Mohit Chauhan
Lyrics – Irshad Kamil
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Movie : Rab Ne Bana Di Jodi (2008)
Music : Salim Merchant, Sulaiman Merchant
Lyricists: Jaideep Sahni
Pyar ke liye
Movie : Dil Kya Kare (1999)
Singer: Alka Yagnik
Music : Jatin-Lalit
Lyrics: Anand Bakshi