Waqt-E-Safar Qareeb Hai Bistar Samait Loon


Waqt-E-Safar Qareeb Hai Bistar Samait Loon.
Bikhra Hua Hayat Ka Daftar Samait Loon.


Phir Jany Hum Milen Na Milen, Zara Ruko!
Main Dil K Aainy Mein Ye Manzar Samait Loon.


Ghairon Ne Jo Sulook Kiye Unka Kiya Gila,
Phainky Hen Doston Ne Jo Wo Pathar Samait Loon.

Bharak Rahi Hai Zamany Mein Jitni Aag,,
Ji Chahta Hai Seeny K Andar Samet Loon

Muhabbat Ka Dhuwan AankhoN mein Pani Chor Jata Hai


Muhabbat Ka Dhuwan AankhoN mein Pani Chor Jata Hai,
Kisi Rastay Se Gham Guzaray Nishani Chor Jata Hai,

Humari Guftugu Se Bhi Woh Qael Nahi Hota,
Aur Apni Khamoshi K Bhi Maani Chor Jata Hai,

Bharosa Jis Pe Ho Usay Tawaqqo Koi Mat Rakhna,
Yehi Ek Saibaan Be-Saaibaani Chor Jata Hai,

Bichar Kar Bhi Hum Aise Shakhs Se Bichrra Nahi Kartay,
Jo Ek Fiqra Aada Kar K Kahani Chor Jata Hai,

SAHIL Mout Bhi Kam Khubsurat Toh Nahi Hogi,
Jo Isko Dekhta Hai Zindgani Chorr Jata Hai......!!!!

Mere Dard-E-Dilki Thi Wo Dastan Jise Hansi Mein Tumne Uda Diya


Mere Dard-E-Dilki Thi Wo Dastan Jise Hansi Mein Tumne Uda Diya,
Jisse Bacha Tha Sambhal Sambhal Kar Wo Dard Tumne Jaga Diya,

Mujhe Pyaar Ka Shauk Na Raha Mere Dost Bhi Hai Sab Bewafa,
Jo Kareeb Aaye To Zikr Hua Jo Door Hue To Bhula Diya,

Wo Jo Milte The Kabhi Raat Mein, Gile Hote The Unki Har Baat Mein,
Na Wo Dil Raha, Na Wo Dost Raha, Mere Khwabon Ko Bhi Sula Diya,

Wo To Kehte The Har Baat Mein Ke Hami Baste The Unki Zaat Mein,
Main Na Jaan Sakunga Ye Kabhi Kyon Mujhko Dilse Bhula Diya...

Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi


Larzison Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Haan Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Tu Jafa Ki Main Wafa Ki Raah Par Hoon Kamzan,
Pichhe Mud Kar Dekhta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Tu Mujhe Main Tujhe Ilzaam Deta Hoon Har Dam,
Apne Man Mein Jhankta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Maslihat Ne Kar Diya Dono Mein Paida Iktilaf,
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Badgumani Saher Mein Kisne Phaila Di Jab Ke,
Ek Dusre Se Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Jaane Mohsin Tu Bhi Tha Ziddi Ana Mujh Mein Bhi Thi,
Dono Kud Ser The Jhuka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi...

Ek Pagal Si Ladki Yakh Basta December Ki Raaton Mein


Ek Pagal Si Ladki,
Yakh Basta December Ki Raaton Mein,
Apne Kamre Ki Khidki Se,
Chandko Dhundti Rehti Hai,
Har Soo Takti Rehti Hai,
Aur Kehti Hai,
Chhup Se Gaye Ho Tum Bhi Aise,
Jaise Mera Chand Chhupa Hai,
Mera Chand Jo Tum Ko Mile To
Usse Kehna
Sangdili Ki Had Hoti Hai,
Laut Chalo Ke Teri Khatir,
Raahon Mein Palkon Ko Bichhaye,
Kabse Aansu Samet Rahe Hai,
Ek Pagal Si Ladki...

Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi Thodi Si Inayat Ho Jaye,


Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye,
Ek Roz Agar Tum Chupke Se,
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo,
Bechain Mera Dil Rehta Hai,
Kuch Aur Ise Betaab Karo,
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko,
Ek Meetha Sundar Khwab Karo,
Ek Roz Meherbaan Ho Jao,
Mere Dilke Nigehbaan Ho Jao,
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Mein,
Ek Shaam Ki Chhanv Mil Jaye,
Murjha Se Gaye Hai Din Mere,
Ek Shaam To Meri Khil Jaye,
Aur Shayad Mere Honthon Se,
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye,
Hum Qais Nahi Farhad Nahi,
Par Phir Bhi Kahin Aabad Nahi,
Shayad Ye Karishma Ho Jaye,
Tumhe Humse Mohabbat Ho Jaye,
Aye Roop Nagar Ki Shehzadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye...

Kal Raat Bahut Toot Ke Barsa Tha Ye Badal


Kal Raat Bahut Toot Ke Barsa Tha Ye Badal,
Aur Humne Bhi Ashqon Mein Bhigo Ke Aanchal,

Ye Dilki Lagi Chain Se Rehne De To Sochein,
Kyon Phailta Jaata Hai Meri Aankh Mein Kajal,

Is Dilse Koi Puchhe Ye Zeest Kati Kyonkar,
Jab Jaan Ye Shikasta Thi Dil Gam Se Tha Ghayal,

Phir Yaad Tujhe Karke Ye Nain Baraste Hain,
Jab Shaam Dhale Dard Ke Uthe Koi Badal...

Dekhe Hia Jo Khwab Likh Rahe Hain


Dekhe Hain Jo Khwab Likh Rahe Hain
Aankhon Ka Azab Likh Rahe Hain,

Guzri Hai Jo Dil Pe Lamha Lamha,
Kuch Uska Hisab Likh Rahe Hain,

Mausam To Nahi Nami Ka,
Deewane Gulab Likh Rahe Hain

Ek Wasl Ka Pesh Lafz Likh Kar,
Ab Hijr Ka Baab Likh Rahe Hain

Nafrat Ka Sabak Bhula Ke faysal,
Ek Taza Nisab Likh Rahe Hain

Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte


Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte,
Kabhi Pariyon Se Dil Lagaya Nahi Karte,

Zulm Karte Hai Aksar Yehi Husn Wale,
Inko Chahat Ka Nagma Sunaya Nahi Karte,

Tod Dete Hai Dilko Sada Hi Sitamgar,
Aur Wajah Bewafayi Ki Bataya Nahi Karte,

Mehekte Rahe Hai Ye Dilke Chaman Mein,
Magar In Pe Haq Bhi Jataya Nahi Karte,

Jalna Hai Ulfat Ki Rasmon Mein Lekin,
Parwane Shamma Ko Bujhaya Nahi Karte,

Mohabbat Hai Kya Ye mujh Se Puchho,
Kabhi Raah-E-Wafa Ko Bhulaya Nahi Karte...

Jab Kabhi Choudhwin Ka Chand Dekhon...!!!!


Jab Kabhi Choudhwin Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aati Ho.....
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Soraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumhare Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Dye
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumhare Labb Yaad aaye
Jab Kabhi Barste Badal dekhon
To Tumhari Yaad Main Doobi...Woh Shaam Yaad aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumhare Khushboo Main Basse Khat Yaad aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko dekhon
To Tumhari piyasi Ankhein Yaad Ayi
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamkte Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinare Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh...Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand ko
Phool Ko
Baraste Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
Buss...Jab Jab Main Saans Loon

To Tum Yaad Aati Ho
Tum Yaad Aati Ho

Aaj Humne Chaand Pighalte Hue Dekha



Aaj Humne Chaand Pighalte Hue Dekha,
Girte Hue Pallu Ko Sambhalte Hue Dekha,

Ajeeb Rang Ki Phool Khile Hai Ab Ke Bahar Mein,
Har Phool Tere Samne Dhalte Hue Dekha,

Ashq Kahan Kho Jaate Hai Kya Malum,
Humne To Dardmandon Ko Behelte Hue Dekha,

Samundar Ke Kinare Ek Chhota Sa Ghar Ho,
Aangan Mein Mujhe Uske Tehelte Hue Dekha,

Har Wo Din Phir Eid Kar Li Maine,
Jab Jab Tujhe Raat Nikalte Hue Dekha...

Kyon Shab Bhar Jaagti Rehti Ho....


Kyon Shab Bhar Jaagti Rehti Ho,
Kyon Chhup Chhup Phirti Rehti Ho,

Kyon Sapne Bunti Rehti Ho,
Kyon Dil Mein Hasti Rehti Ho,

Kyon Bechain Bechain Phirti Ho,
Kyon Ulajh Rahi Ho Yaadon Se,

Kyon Behel Rahi Ho Baaton Se,
Jo Baat Hai Dil Mein Wo Keh Do,

Kyon Tum Iqraar Nahi Karti,
Kya Tum Mujhse Pyaar Nahi Karte...

Is tarah us se gufttugu karta


*****************

is tarah us se gufttugu karta
aaina us ke rubaroo karta

mujh ko apni hi aarzoo na rahi
aur kya tark e aarzoo karta

hur qadam per ulajh ke kaanton se
apne daaman ko kya rafoo karta

mujh ko maloom tha woh mera nahi
kis liye us ki justujoo karta

kaash aata woh pal ibadat mein
dil mera sirf "tu hi tu" karta

woh jo mil jata aik baar mujhe
apni chahat ko sarkhuroo karta

haal e dil us ko sunata "ghayas"
woh agar mujh se guftugoo karta...

********************

Teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahat

Image

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahat
Dam bakhud se baithi hai mere baam ki aahat
.
.
Kiyun thehr gayee dil mein us maqaam ki aahat
Kiyun guzar nahin jati us maqaam ki aahat
.
.
Haath ki lakeeron se kiss tarah nikaaloon main
Teri yaad k mausam tere naam ki aahat
.
.
Aankh mein machalti hai haath par tarrapti hai
Is qayaam ki aahat us qayaam ki aahat
.
.
Jab yeh dil rafaqat ki kachi neend se jaaga
Tau mujhe sunaai di ikhtitaam ki aahat
.
.
Furqaton k boseeda saahilon pe utri tau
Har taraf thi bas tere hi kalaam ki aahat
.
.
Raat k utartay hi dil ki sooni galiyon mein
Jaag uthti hai phir se tere naam ki aahat
.
.
Baith jati hai aa kar dar pe kiyun mere NAHEED
Tere sath ki aahat,tere gaam ki aahat.......!!!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Bohat thakaan badan mein mere safar ki rehi

Image

*~~~~~***~~~***~~~~~*

Bohat thakaan badan mein mere safar ki rehi
Magar shook ki manzil k har nagar mein rehi

Woh jis pe chal kay sadah paoon zakhm zakhm huwe
Na jane khooj humahin kiun ess he dagar ki rehi

Khuda Ney fitrat e aazadi woh baanai hai
L jis mein ruh shaheed e bey khatar ki rehi

Jo meri zaat ki pinhaiyaaN samjh leiti
Tammam umar zarorat ous ek nazar ki rehi

Jab Apne app mein duobey falak ko chuoh aaye
K eihtiyaat humain ab baal o par ki rehi

Humain say sunnatain ab bhi zindaa hai
K har zamaney ko hajat humhare sar ki rehi

Billa sababb Toh karamat pe apni Naaz nehi
K chaar daang mein shohrat mere aasar ki rehi

*~~~~~***~~~***~~~~~*

Juda hone k mausam mai juda hona zarori hai

Image

~~~~~~***********~~~~~~

Juda hone k mausam mai juda hona zarori hai
najane kyu kisi ka bewafa hona zarori hai

Mere dil ne jo isko poojne ki inteha kardi
tu phir us bewafa ka khuda hona b zaroori tha

kisi se na koi shikwa na koi shikayat hai
jo mere saath chahat mai hua hona zaroori tha

Buht nazdeek the dil islei ab dooriyan b hain
Dilon k darmiyan kuch fasla hona zarori hai

Usay bhi dard dene ka buht hi shok tha
Hume bhi dard-o-gham se ashnaa hona zarori tha....

~~~~~~***********~~~~~~

Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein

Image

**************************
Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Lekin main din guzaar rahi hoon zawaal mein
.
.
Ghaira hai is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khawab mere doob gaye is malaal mein
.
.
Mujh se nazar chura k guzarnay lagi hawa
Aanay lagi jo hijr ki khushbu wisaal mein
.
.
Hoon saa-at-e-azaab mein kiyun main abhi talak?
Ik umar se ghhiri hoon issi ik sawaal mein
.
.
Bay chainiyaan tamaam hi main uski orrh loon
Shamil mujhe karay tau kabhi apnay haal mein
.
.
Main sun rahi hoon phir se judaai ki aahatein
Jeena parray na phir se inhi maah-o-saal mein
.
.
Qismat se raah mein jo jazeeray humain milay
Tere gumaan mein thay,na mere khayyaal mein......!!!

**************************

Nazar jab tumse milti hay mein khud ko bhool jata hoon

Image

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Nazar jab tumse milti hay mein khud ko bhool jata hoon
Bus ik dharkan dharakti hay mein khud ko bhool jata hoon

Tumhen milne se pehle mein bohat sajta sanwarta hoon
Magar jab tum sanwarti ho mein khud ko bhool jata hoon

Mein aksar kitabon py tera hi naam likhta hoon
Magar kuch tum jo likhti ho mein khud ko bhool jata hoon

Mein aksar yahi kehta hoon mein tum se payar karta hoon
Magar jab tum yeh kehti ho mein dunyaa bhool jata hoon

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

unn ki mehfil mai chal k dekhte hain

Image

*****************
unn ki mehfil mai chal k dekhte hain
ham bhi nazrain badal k dekhte hain

kitni tauqeer hamko milti hai
unki aankho'n mai dhal k dekhte hain

ham bhi yakta nahi hai iss fun mai
wo bhi hamko sambhal k dekhte hain

khoob waqif hain tumse ham lekin
chund lamhe behl k dekhte hain

wo bhi aata hai ghar se bahar kya
ham bhi bahar nikal k dekhte hain

kyu'n mohabbat se kaam chal na saka
gard, nafrat ki mull k dekhte hain

apni pehchan k liye jana'n
apna chehra badal k dekhte hain

******************

Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se

Image

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se
Zamee'n k zakham hare ho gaye hain paani se

Dhale hain ashak shab e ghum barhi rawani se
Abhi charagh jalaye hain humne paani se

Na kaam aayi meri jurrat e lab-e-izhaar
Woh badgumaa'n hi hua aur khushbayani se

Main chahta hu'n tumhara bharam rahe qayam
Nikaal do mere kirdaar ko kahani se

Mujhe bhi chehra shinasi ka agaya hai hunar
Mila kamaal ye dushman ki meherbani se

Kisi se kuch na kaha aur keh diya sab kuch
Zuba'n ka kaam liya maine be zubaani se

Abhi zamee'n se nahi rabta mera SIDDIQ
Guzar raha hoo'n abhi daur-e-asmaani se

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meri nazar mai apni nazar baar baar rakh

Image

**********************

Meri nazar mai apni nazar baar baar rakh
ik teer dil, jigar k hamesha hi paar rakh

Dharkan Per Apni Kuch Bhi To, Tu Ekhtiyar Rakh
Aye Beqraar Dil Too Zara To Qaraar Rakh

Sarchashma Terey Dil Mein Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hount Pey Aansoo Ki Dhaar Rakh

Aye Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Mein Nahin Jo Ishq To Kaa'hey Ki Bandaagi
Sajday Mein Apnay Sar Ko Agarchey Hazaar Rakh

Kaaba Agar Nahin To Isay Butkada Bana
Dil Mein Khuda Ki Yad, Ya Tasveer-e-Yaar Rakh

Hamlay Shadeed Hoon'gey Anaa Key "Khateeb" Phir
Qaayem Khudi Key Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

************************

Eik Baar Kar Ke Eitbaar Likh Do

*****
Image

*****************

Eik Baar Kar Ke Eitbaar Likh Do
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do


Kat'ti Nahin Ye Zindagi Ab Tere Bin
Kitna Aur Karun Intizaar Likh Do


Tarastey Rahey Hein Bari Muddat Se
Is Baar Apni Muhabbat Ka Izhaar Likh Do


Deewaney Ho Jayen Jise Parh Ke Hum
Kuch Aisa Tum Merey Yaar Likh Do


Zyada Nahin Likh Sakte To Mat Likho Tum
Muhabbat Bharey Lafz Do Chaar Likh Do


Ek Baar Likho Muhabbat Hai Mujhe Tum Se
Phir Yehi Jumla Baar Baar LIkh Do

******************

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah

*****
Image

**************************

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey
Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho
Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Dil Pey Haath Phairney Say, Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho
Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey
Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano
Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain !

****************************

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai

Image

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
Teray pyar main sab ko bhula rakha hai

Kuch acha nahin lagta teri judai Kay baad
Ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

Tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
Najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

Sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
Teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

Muqadar say miltay hain bichar Kay warna
Ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

Najanay koi nahin basta teray Siva ankh main
Aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aksar Tanhai Main


"Aksar Tanhai Main"

teri yadoon k samander main,
main doob jati hoon,
tujhe yaad kr k hi,
ab to dil ko behlati hoon,
aksar tanhai main....

jab bhi teri yad aati hay,
khawaboon ki dunia main kho jati hoon,
tera nam le k hi,
laboon ko thandak pouhanchati hoon,
aksar tanhai main....
tum meri zindagi ho,
jise dil-o-jaan say chahti hoon,
tumhara chehra dekh ker hi,
main ab muskurati hoon,
aksar tanhai main....

kuch din hain judai k,
per inhain mahenay,
saal kehlati hoon,
ab jaldi milan ho ga,
ye soch ker hi jee pati hoon,
aksar tanhai main...
Image

Dil ki baat laboon per la kar ab tak hum dukh sehtay hein


Dil ki baat laboon per la kar ab tak hum dukh sehtay hein
Hum ne suna tha is bastii mein dil walay bhi rehtay hein

Beet gaya sawan ka maheena, mausam ne nazrein bedleen
Lakin inn pyaari ankhon se ab tak aansoo` behtay hein

Ik hamein aawarah kehna koi bara ilzaam nahi
Duniya walay dil waloon ko aur bohat kuch kehtay hein

Jin ki khatir shehar bhi chora jin ke liye budnaam howaye
Aaj wohi hum se be-ganay be-ganay se rehtay hein

Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai


***********************
Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai
Rishtaa mera tum say jo hai pal bhar ka nehi hai

Pikhley ga na mere zabt say ghaabraa kay sitamgar
Insaan hai woh bhi koi pathar ka nehi hai

Woh chaak jigar rakh kay yoon kehty hain k dilbar
Yeh kaam tere jeisey rafuuGarR ka nehi hai

Dunia ko badalney ki naii ho koi tarkeeb
Aye Eihl e janoon waqt yeh ab daar ka nehi hai

Dunia jo kehti hai kehye meri balaa say
Aalam toh abi mere barabar ka nehi haii
*************************

Jo Adhoori Reh Gayi Thi Kahani Sochna


Jo Adhoori Reh Gayi Thi Kahani Sochna
Beth Ker Tanha Faqat Baaten Purani Sochna

Jab Kisi Saahil Pe Aajaiy Meri Yaad Tumhen
Kion Jazeeron Ki Taraf Rehta Hai Paani Sochna

Tum Agar Bicharney Per Khush Ho To Yun He Sahi
Beth Ker Tanha Faqat Shaamen Purani Sochna

Jab Kabhi Likhna Kahani Zeest Ke Mozu Pe Tum
Kioun Badal Jaatey Hen Lafzon Ke Maa’yne Sochna

Jin Raahon Par Chalta Hoga Meri Yaad Mein Tadapta Hoga


Jin Raahon Par Chalta Hoga,
Meri Yaad Mein Tadapta Hoga,

Zinda Ab Main Kaise Rahunga,
Shayad Ghar Mein Sochta Hoga,

Mujhse Jo Keh Na Saka Wo,
Ab Wo Khud Se Kehta Hoga,

Guzri Baatein Guzre Lamhe,
Yaad Wo Karke Rota Hoga,

Fursat Ise Ho Ke Na Ho,
Khat Wo Phir Bhi Likhta Hoga,

Udaas Dil Veeran Aankhein,
Rasta Mera Dekhta Hoga,

Sanjeeda Hogaya Hoga Shayad,
Ab Na Shararat Karta Hoga,

Mujhse Bichhad Kar Rota Hoga,
Gam Ko Kitna Samjhata Hoga...

Har Toofan Me Meri Kashti Ko Sahara Mile Ye Zaroori To Nahi


Har Toofan Me Meri Kashti Ko Sahara Mile Ye Zaroori To Nahi,
Har Mod Par Tumhe Deedar Hamara Mile Ye Zaroori To Nahi,

Kuch Baatein Labon Tak Laayi Jayein Ye Zaroori To Nahi,
Har Zakham Sab Ko Dikhaya Jaye Zaroori To Nahi,

Har WaQt Aasman Mein Chand Rahe Ye Zaroori To Nahi,
Har Lakeer Me Mera Naam-O-Nishan Rahe Ye Zaroori To Nahi,

Manta Hoon Main Bhi Ke Judai To Badi Mushkil Hai Tere Bina,
Par MuQaddar Ke Har Waar Se Lada Jaye Ye Zaroori To Nahi...