In this blog you can find Romantic Poetry,Ghazals,Poet's Biography,Poetry of most Beautiful Poets like Ahmad Fraz,Perveen Shakir,Mir Taqi Mir,Mir Anees,Mohsin Naqvi etc,and tribute to Poet's and many many more.
Maine Tumse Pyaar Kiya Tha
Maine Tumse Pyaar Kiya Tha,
Dil-O-Jaan Tum Pe Nisaar Kiya Tha,
Chhodoge Na Saath Mera Saari Zindagi,
Wafa Ka Tumne Bhi Ikraar Kiya Tha,
Humne To Tumhari Raahon Par Phool Bichhaye The,
Un Raahon Ke Kaante Apne Haathon Se Uthaye The,
Magar Aye Bewafa Tune Meri Wafa Ka Kya Sila Diya,
Gair Ki Khatir Mujhko Dil Se Bhula Diya,
Main Kaun Hoon Tumhari Jo Mujhe Yaad Karo Tum,
Apne Do Aansu Bhi Mujhpar Barbaad Karo Tum,
Khudki Naav To Kinaare Par Laga Li,
Mujhe Bich Majhdhaar Me Hi Chhod Diya,
Is Dil Mein Jo Basa Tha Pyar Tera,
Maine Bhi Us Dilko Hi Tod Diya,
Jo Gali Tere Ghar Tak Jaati Thi,
Us Gali Se Hi Maine Muh Mod Liya,
Badnaam Na Ho Jaye Tu Duniya Mein Kahin,
Isliye Tera Naam Lena Hi Chhod Diya,
Jab Kabhi Bhi Yaad Aayegi Tumhari,
Sochenge Tumhe Dekha Hi Nahi,
Tu Jahan Bhi Rahe Sada Khush Rahe,
Tujhe Dilse Main Bhula Rahi Hoon,
Tere Pyar Ki Jo Haseen Yaadein Hai Dil Mein,
Un Yaadonko Lauta Rahi Hoon,
Mujhe Tumhari Bewafai Se Koi Shikwa Nahi,
Main Tumhari Zindagi Se Jaa Rahi Hoon...
* * * * *
Jab Gam Meri Dhadkan Meri Baaton Se Bayan Tha
Jab Gam Meri Dhadkan Meri Baaton Se Bayan Tha,
Tu Kahan Tha...
Jab Chaaron Taraf Dard Ke Dariya Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha...
Ab Aaya Hai Jab Dhal Gaye Hai Sabhi Mausam Mere Humdam,
Jab Tere Liye Mera Ehsaas Jawaan Tha,
Tu Kahan Tha...
Ab Aaya Hai Jab Kaam Dikha Gaya Saawan Mere Saajan,
Jab Chaar Soo Mere Liye Khushiyon Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha...
* * * * *
Kaise Sukoon Paun Tujhe Dekhne Ke Baad
Kaise Sukoon Paun Tujhe Dekhne Ke Baad,
Ab Kya Gazal Sunaun Tujhe Dekhne Ke Baad,
Aawaz De Rahi Hai Meri Zindagi Mujhe,
Jaun Main Ya Na Jaun Tujhe Dekhne Ke Baad,
Kaabe Ka Ehtaraam Bhi Meri Nazar Mein Hai,
Sar Kis Taraf Jhukaun Tujhe Dekhne Ke Baad,
Teri Nigah-E-Mast Ne Deewana Kar Diya Hai,
Kya Maikade Ko Jaun Tujhe Dekhne Ke Baad,
Nazron Mein Taab-E-Deed Hi BaaQi Nahi Rahi,
Kisse Nazar Milaun Tujhe Dekhne Ke Baad...
* * * * *
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai,
Ye Raatein Be-Sukoon Hai,
Ye Din Be-Araam Hai,
Mujhe Mohabbat Ki Pyaas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...
Ab Jo Tu Mujhse Bichhad Gaya,
Mera Chain Bhi Mujhse Kho Gaya,
Na Jane Kyon Phir Teri Aas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...
Tujhe Bhulneki Jab Koshish Kari,
HaQeeQat Ko Samajhneki Koshish Kari,
Yun Laga Tu Kahin Aas Paas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...
Zindagi Aise Daurahe Par Aayi Hai,
Ke Sirf Main Aur Meri Tanhayi Hai,
Na Jaane Ye Kaisa Ajeeb Ehsaas Hai,
Mera Dil Bahut Udaas Hai...
* * * * *
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko,
Dard Kya Hota Hai Ruswai Kise Kehte Hai,
Chaar Suu Gunjti Ruswayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde............
Koi Lamha Ho Teri Yaad Mein Kho Jaate Hai,
Ab To Khudko Bhi Muyasar Nahi Aa Paate Hai,
Raat Ho Din Ho Tere Pyaar Mein Behte Hai,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde............
Jo Bhi Gam Aaye Use Dil Pe Saha Karte Hai,
Ek Wo Tha Hum Mil Ke Raha Karte The,
Ab Akele Hi Zamane Ke Sitam Sehte Hai,
Dard Kya Hota Hai............
Ab Jo Bichhde............
Humne Khud Apni Hi Rahon Mein Bichhaye Kaante,
Zakhm Is Dil Mein Basaye Hue Khud Rehte Hai,
Dard Kya Hota Hai............
Ab Jo Bichhde............
Yun To Duniya Ki Har Ek Chiz Haseen Hoti Hai,
Pyar Se Badh Kar Magar Kuch Bhi Nahi Hoti Hai,
Rasta Rok Kar Har Ek Chiz Yehi Kehti Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko...
Ajab kashmakash k rasty hain
Ajab kashmakash k rasty hain
Bari kathan yeh musaafaten hain
Main jis ke rahon mein bech gaya hon
Ussi ko mujhsay shikayatein hain
Shikayatein sab baja hain lakin
Main kaisy usko yakeen dilaon?
Usay jo bholon to mar na jaon
Main is khamoshi k imtehan mein
Kahan kahan say guzar gaya hon
Usay khabar bhe nahi hai shayad
Main dhery dhery bikhar gaya hon...
Udasiyan bay sbab nahi hain
udasiyan bay sbab nahi hain,
udasion ka agar yeh mosam,
theher gaya to ghazab karay ga,
na g sako gay, na mr sako gay,
kisi ko her pal talab karay ga...!!!
udasiyan bay sbab nahi hain....!!!
Dedicate Ghazals to Anyone u Want ...
Aslamualaikum ...
Dosto kaisy hen aap sab ?
Umeed karta hun k sab Khair-o-Afiat se hon gy ...
Jee to Dosto jesa k aap sab janty hen k january shuru ho gaya he ...
Or men isy Dedication month kaha krta hun,
Isi lie men nen Socha k kiun na aik silsila shuru kar dia jaye jis men aap sab Members apny fav member ko, ya apny kisi dost ko, Amman Baba ko, Behan Bhai ko even kisi ko bhi aap yahan Ghazals Dedicate kr sakty hen.
So Aiye or apny Payaron ko Ghazals Dedicate kijy
Apni ghazal apne naam ke sath iss id pe email karien.
Siddiqashraf99@gmail.com
Apni ghazal apne naam ke sath iss id pe email karien.
Siddiqashraf99@gmail.com
Agar karni hoon to phir Aa
Agar karnii hoon to phir Aa,karain hum piyaar ki baatein
wagarna choR dai baaqii hain sub baikaar ki baatein
buraa ho ya bhla koii kisi se kya gharaz hum ko
kya apnoon ki kamii he jo karein aghyaar ki baatein
lagaayaa dil agar hum ne,zamaana kya kahaiga phir
ye sub hain baad ki ab to na kar baikaar ki baatein
yahaan par to sunaa he ke hote hain kaaN diwaaroun ke
kisi ke saamne kaise karein asraar ki baatein
ye qol o fail main janaan he kuon itnaa tazaad aakhir
kisi se pyaar karta he kisi se pyaar ki baatein
teri nazroun main jab se pyaar ki daikhi jhalak hum ne
burii lagtii nahein hain ab hamain baikaar ki baatein
AaNsuoN ka hisaab rakhta hai
aaNsuoN ka hisaab rakhta hai
dil meiN kitne azaab rakhta hai.
jane kiski hai qabr wo jis par
roz taazaa gulaab rakhta hai.
jaag kar kat_ta hai shab aksar
phir bhi palkoN pe khwaab rakhta hai.
uljhaneN haiN sabhi ke seene meiN
kaun ab inqlaab rakhta hai.
wo jo aaye to noor-sa bikhre
aaNkh meiN aaftaab rakhta hai.
aaiina bhi bahut pareeshaN hai
rukh pe hardam naqaab rakhta hai.
yaad kii dhoop jab sataati hai
sar pe meri kitaab rakhta hai.
wo jo chahe to kya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.
gungunata hai chhip ke meri ghazal
shauq to lajawaab rakhta hai.
shekhji us se door hi rehna
wo purani sharaab rakhta hai.
Buland kirdar si aankhian
Buland kirdar si aankhian
wo khush guftaar si aankhain
mohabbat ki negehbaaN hain
dar o dewaar si aankhain
nameeda sabnami gulpoosh
gul o gulzar si aankhain
dehekti dhoop main thandak
ghany ashjar si aankhain
khazina hian wo yadoon ka
haseen pandar si aankhain
hikayat hain khmoshi ki
wohi iqrar si aankhain
ghata palkoon pe rakhti hain
abad imtar si aankhain
kamal e husn o raanai
sukhan, ashaar si aankhain
kitab e drd k oraq
haziN afgar si aankhain
khamooshi khush kalami si
saba izhar si aankhin
hain Aashi hast ka sehra
meri sansar si aankhain
Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye
Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye
Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye
Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye
Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye
Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye
Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye
Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye
Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye
Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye
Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye
Na baat ka qaidi hoon na raat ka qaidi hoon
Na baat ka qaidi hoon na raat ka qaidi hoon
main to gardish_e_halat ka qaidi hoon
jab se muhabbat huwi hai mujhe
main bus lamhat ka qaidi hoon
maine hamesha hi azaadi chahi
per main apni hi zaat ka qaidi hoon
jab mujhe mila tha wo tab se
main us mulaqat ka qaidi hoon
wo mujhe is liye chor giya shayad
ke main to us ki yaad ka qaidi hoon
Muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
isi meiN lutf haiN saare, yahi takleef deti hai.
yahi dastoor hai shaayad wafaadari kii duniya ka
jise jee jaan se chaaho wahi takleef deti hai.
shikaayat kar rahaa tha aasmaaN se aik sehra kal
mujhe khawaaboN meiN aksar ik naddi takleef deti hai.
palak bhar ka milan hota hai do anjaan chehroN meiN
magar phir umr bhar ye ik ghaRi takleef deti hai.
kazaa ka khauf lekar jee rahe haiN sab zamaane meiN
haqiiqat meiN sabhi ko zindagi takleef deti hai.
kabhi mauka-b-mauka ho to koii sabr bhi kar le
magar aathoN pehar kii bekhudi takleef deti hai.
savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
humeN to garmiyoN kii loo baRi takleef deti hai.
zaraa kachche makaanoN kii taraf bhi tum nazar dalo
jahaaN baarish kii har teekhee jhaRi takleef deti hai.
adaavat ke jinhoNne har taraf parcham uRaaye the
unheN ab dostoN kii berukhi takleef deti hai.
numu hote hi jiske baaghbaaN hasrat se taktaa hai
kaii kaaNtoN ko wo taazaa kalii takleef deti hai.
bhulaane kii tago-dou meiN jalaa daale haiN khat mere
magar usko usii kii diary takleef deti hai.
nazar aaye jahaaN se roshnii masloob aaNkhoN kii
bayaaze-dil ko aisii shayri takleef deti hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)